Me Shayeri Q Likhti Hoon Ye Mujhe Nahi Pata,Magar Shayeri K Maadyam Se Me Aap Sabhi Ko Kuch Mehsus Kerana Chahti Hoon,Jaise Prem - Pira - Pehchaan Or Parichay,Jab Tanhai Me Apne Under Ki Aatmaa Ko Mehsus Karti Hoon,Tab Anubhurtiyaan Ek Dard Sa Man Hi Man Me Sisakta Rehta Hai,Jise Maine Apne Dill Se Anubhurti Kar Shayeri K Maadhyam Se Kavita K Zariye Logon Tak Pahunchaane Ki Koshish Ki Hai,Shayeri Likhna Koi Mazaak Nahi,Dill Se Shayeri Likhte Waqt Aansu Aa Jaate Hai...
~ ~ Sadah Bahar ~ ~
free counters

Vote This Page

Thursday 20 October 2011

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Khafaa ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Ek Bas Tu Hi Mujhse Khafaa Ho Baitha,
Mene Jo Sang Taraasha Wo Khuda Ho Baitha.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~ 

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Kaatil ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Mitti Ke Putlon Me Dill Nahi Hota,
Har Mout Ke Piche Kaatil Nahi Hota,
Har Dill Jitne Ki Kaabiliyat Rakhti Hoon Me,Par Na Jane Q Unka Dill Haasil Nahi Hota !!

~ ~ Sadah Bahar ~ ~ 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...