Me Shayeri Q Likhti Hoon Ye Mujhe Nahi Pata,Magar Shayeri K Maadyam Se Me Aap Sabhi Ko Kuch Mehsus Kerana Chahti Hoon,Jaise Prem - Pira - Pehchaan Or Parichay,Jab Tanhai Me Apne Under Ki Aatmaa Ko Mehsus Karti Hoon,Tab Anubhurtiyaan Ek Dard Sa Man Hi Man Me Sisakta Rehta Hai,Jise Maine Apne Dill Se Anubhurti Kar Shayeri K Maadhyam Se Kavita K Zariye Logon Tak Pahunchaane Ki Koshish Ki Hai,Shayeri Likhna Koi Mazaak Nahi,Dill Se Shayeri Likhte Waqt Aansu Aa Jaate Hai...
~ ~ Sadah Bahar ~ ~
free counters

Vote This Page

Tuesday 31 January 2012

~ ~ ~ ~ ~ ~ Sabse Pyaara ~ ~ ~ ~ ~ ~

Pass Aapke Duniyaa Ka,
Har Sitaara Ho,
Door Aapse Gum Ka,
Har Kinaara Ho,
Jab Bhi Aapki,
Aankhe Khule To Wahi Ho,
Jo Duniyaa Me,
Aapko Sabse Pyaara Ho.
~ ~ Sadah Bahar ~ ~

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Khafa ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Ban Jaun Me Agar,
Tumsa To Kaisa Lagega ?,
Har Pal Rahu Tumse,
Khafa To Kaisa Lagega ?,
Khud Se Bhi Zyada,
Ho Yakin Tumhe Kisi Par,
Agar Wahi De Jaye,
Daga To Kaisa Lagega ?

~ ~ Sadah Bahar ~ ~

~ ~ ~ ~ ~ ~ Good Morning ~ ~ ~ ~ ~ ~

Neend Bhari Aankhon Ko,
Zara Dhire Se Kholo,
Iss Pyaari Si Subah Ki Nami,
Se Apni Palko Ko Dholo,
Humne To Bol Diya,
Good Morning Aapko,
Ab Aapki Baari Hai Hume,
Good Morning Kehne Ki.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~ 

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Dill Ka Dard ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Dill Ka Dard,
Dill Me Dabaaye Rakha,
Koi Na Mila Aisa,
Jispe Duniyaa Luta Dete,
Sabne Diya Dhoka,
Kis - Kis Ko Bhula Dete,
Dill Ka Dard,
Dill Me Dabaaye Rakha,
Bayaan Kiya Hota To,
Mehfil Ko Rula Dete.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~

~ ~ ~ ~ ~ ~ Tute Huye Dill ~ ~ ~ ~ ~ ~

Tute Huye Dill Ke,
Tukde Jud Nahi Paate,
Dill Me Daag Ho To,
Dhul Nahi Paate,
Taklif Tab Nahi Hoti,
Jab Wo Yaad Nahi Karte,
Taklif To Tab Hoti Hai,
Jab Hum Bhul Nahi Paate.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~ 

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Manzil ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Zindagi Mohtaaz Nahi Manzilon Ki,
Waqt Har Manzil Ko Dikha Deta Hai,
Marta Nahi Koi Kisi Ke Judaai Me,
Waqt Sabko Jina Sikha Deta Hai.
~ ~ Sadah Bahar ~ ~

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Anjaane Me ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Anjaane Me Hum,
Apna Dill Gawa Baithe,
Iss Pyaar Me Kaisa
Dhoka Kar Baithe,
Unse Kya Gila Kare,
Bhul Humaari Hi Hai,
Jo Bin Dilwaalo,
Se Dill Laga Baithe.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~ 

Monday 30 January 2012

~ Guzre Huye Kal Ki Yaad Aati Hai ~

Guzre Huye Kal Ki Yaad Aati Hai,
Kuch Lamho Se Aankhe Bhar Aati Hai,
Wo Subah Rangin,
Wo Shaam Niraali Jaati Hai,
Jab Aap Jaise Doston Ki Yaad Aati Hai.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~ 

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Ashq ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Ashq Mile To Pi Lete Hai,
Aap Kahe To Mar Jaaye Hum,
Aap Kahe To Ji Lete Hai,
Hum To Hai Un Phoolon Jaise,
Jo Kaaton Me Bhi Ji Lete Hai.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~ 

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Besahaara ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Ae Dill,
Har Kinaare Ko,
Kinaara Na Samajh,
Ae Dill,
Har Sahaare Ko,
Sahaara Na Samajh,
Baarish Aane Par,
Sahaare Chut Jaate Hai,
Musibat Aane Par,
Sahaare Chut Jaate Hai.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~ 

Sunday 29 January 2012

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Saavan ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Saavan Ne Bhi,
Kisi Se Pyaar Kiya Tha,
Usne Use Baadal,
Ka Naam Diya Tha,
Rote The Dono,
Ek Dusre Ke Judaai Mein,
Or Logon Ne Use,
Baarish Ka Naam Diye.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~

~ ~ Use Bewafaa Kaise Kahoon ~ ~

Use Bewafaa Kaise Kahoon,
Use Har Pal Sataaya Maine,
Ab Khud Sukoon Se Kaise Rahoon,
Use Bepanaah Rulaaya Maine,
Khud Ko Begunaah Kaise Kahoon.
Mujhe Har Pal Manaaya Jisne,
Us Se Khafa Kaise Rahoon,
Wafaa Ka Matlab Bataaya Jisne,
Use Bewafaa Kaise Kahoon.
~ ~ Sadah Bahar ~ ~

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Bewafaai ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Ilzaam Diya Tha Tumne,
Humko Bewafaai Ka,
Mouka Mila Hai Aaj,
Humko Apni Safaai Ka,
Are O Bewafaa,
Yaad Aaye Tera,
To Hum Ro Pade,
Par Chalo Tumhaare,
Yaad Ne Ye To Sikha Diya,
Ki Bewafaai Humne Nahi,
Tumne Kiya Tha,
Agar Bewafa,
Hum Hote Sanam,
To U Na Tere Yaad Mein,
Rote Iss Tarah.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~ 

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Judaai ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Maine Faaslon Ko Mitaaya,
Wo Judaai Kar Gaya,
Kitna Maasum Tha Wo,
Lekin Bewafaai Kar Gaya,
Wo Sikha Gaya,
Kisi Pe Aitbaar Na Karna,
Kitna Buraai Kar Ke Bhi,
Ek Achchaai Kar Gaya.
~ ~ Sadah Bahar ~ ~

~ ~ ~ ~ Tanha Jab Dill Hoga ~ ~ ~ ~

Tanha Jab Dill Hoga,
Aapko Aawaaz Diya Karenge,
Raat Me Sitaaron Se,
Aapka Jikr Kiya Karenge,
Aap Aaye Ya Na Aaye,
Humaari Khwaabon Mein,
Hum Bus Aapka,
Intezaar Kiya Karenge,
Khwaab Dekhne Ke Liye, 
Ab Aapko Mazbur Karenge.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~

~ Tut Jaate Hai Bikher Jaate Hai ~

Tut Jaate Hai Bikhar Jaate Hai,
Kaanch Ke Ghar Hai Mukkaddar Apne,
Ajnabi To Sadah Pyaar Se Milte Hai,
Bhul Jaate Hai Toh Aksar Apne.
~ ~ Sadah Bahar ~ ~

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Aaine Me ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Andaaz Apni Aaine Me Dekhti Hai Wo,
Or Ye Bhi Dekhti Hai Ki Koi Dekhta Na Ho.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~

~ ~ ~ ~ ~ ~ Dard - E - Dill ~ ~ ~ ~ ~ ~

Dill Ke Choton Ne Kabhi Chain Se Jine Na Diya,
Jab Chali Sard Hawa Maine Tujhko Dill Se Yaad Kiya,
Iska Rona Nahi Ki Tune Mere Dill Ko Barbaad Kiya,
Iska Gum Hai Ki Dill Ko Barbaad Karne Me Bahut Der Lagaa Diya.

~ ~ Sadah bahar ~ ~

~ ~ ~ ~ ~ ~ Chod Diya Usne ~ ~ ~ ~ ~ ~

Kaise Keh Doon Ki Mujhe Chod Diya Usne,Baat To Sach Hai,Magar Baat Hai Ruswaai Ki

~ ~ Sadah Bahar ~ ~ 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...