Me Shayeri Q Likhti Hoon Ye Mujhe Nahi Pata,Magar Shayeri K Maadyam Se Me Aap Sabhi Ko Kuch Mehsus Kerana Chahti Hoon,Jaise Prem - Pira - Pehchaan Or Parichay,Jab Tanhai Me Apne Under Ki Aatmaa Ko Mehsus Karti Hoon,Tab Anubhurtiyaan Ek Dard Sa Man Hi Man Me Sisakta Rehta Hai,Jise Maine Apne Dill Se Anubhurti Kar Shayeri K Maadhyam Se Kavita K Zariye Logon Tak Pahunchaane Ki Koshish Ki Hai,Shayeri Likhna Koi Mazaak Nahi,Dill Se Shayeri Likhte Waqt Aansu Aa Jaate Hai...
~ ~ Sadah Bahar ~ ~
free counters

Vote This Page

Monday 28 January 2013

Mehboob Ae Chand




Sadah Dill Ke Angan Se Chand Ka Didar Ho Gya,

Main Uski Deewani Ho Gayi,

Chand Badlon Main Kho Gaya,

Maine Badal Ke Hatne Ka Intezar Kiya,

Tab Tak Chand Kisi Or Ka Ho Gya

Falak Kay Jab Chand Ko Daikha To,

Haseen Zameen Par Nazar Koi Na Aaya,

Jagmagatay Sitaaro Ko Jab Daikha To,

Chamakta Nazara Nazar Koi Na Aaya,

Gulshan Main Jab Daikha Gulaab To,

Gul,Gulaab Sa Nazar Koi Na Aaya,

Kichar Main Jab Daikha Kanwal To,

Husn Kanwal Sa Nazar Koi Na Aaya,

Jalwa Jab Daikha Apnay Mehboob Ka To,

Dil Nasheen Mehboob Sa Nazar Koi Na Aaya,

Socha Jab Shaz Sab Ko Bananay Walay Ka To,

Sadah Bahar Noor Sarapa Noor Sa Bahar Nazar 

Koi Na Aaya

~ ~ Sadah Bahar ~ ~ 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...