Me Shayeri Q Likhti Hoon Ye Mujhe Nahi Pata,Magar Shayeri K Maadyam Se Me Aap Sabhi Ko Kuch Mehsus Kerana Chahti Hoon,Jaise Prem - Pira - Pehchaan Or Parichay,Jab Tanhai Me Apne Under Ki Aatmaa Ko Mehsus Karti Hoon,Tab Anubhurtiyaan Ek Dard Sa Man Hi Man Me Sisakta Rehta Hai,Jise Maine Apne Dill Se Anubhurti Kar Shayeri K Maadhyam Se Kavita K Zariye Logon Tak Pahunchaane Ki Koshish Ki Hai,Shayeri Likhna Koi Mazaak Nahi,Dill Se Shayeri Likhte Waqt Aansu Aa Jaate Hai...
~ ~ Sadah Bahar ~ ~
free counters

Vote This Page

Monday 28 January 2013

Naari Ke Prati Atyachaar Evam Manvadhikaar




humne apne chote muh se ek badi baat soch samajhkar nikala hai...
aap me se ho sakte hai ki bahut se logon ko mere vichaar pasand na aaye....lekin maine ye naariyon ke atyachaar ko rokhne ke liye sabse achha vichaar socha hai....kanun mere is vichaar ko apna kar dekh sakte hai....mera man'na hai ki meri ye vichaar 100% nariyon ko un darindaron ke galat kaam ke shikaar hone se bachayega....
or humaare desh me naari atyachaar ya balaatkar chiz nahi rahega...
agar aap sabhi ko mere vichar pasand aaya to kripya ise sajha kare....main chahti hoon ki ye baat sarkaar ke kanon tak jaye....

fir se nariyon ke upar atyachaar kiya ja raha hai....jis darindaron ne chote bade masum ya hum umra ke nariyon ke jism ko taar taar kar rahe hai....aajtak kanun un darindaron ke upar koi bhi sakht karwai ka nirnaye nahi liya hai....or na hi kisi ne un darindaron ke liye sakht saza kya hona chahiye nahi socha hai....maine ek upay nikala hai....sirf faasi dena hi mahan kaam nahi or faasi se use ehesaas nahi hoga ki usne jisko dard diya hai uska dard kya hai....

un darindaron ne to jeete ji nariyon ko maar daala....koi kehta hai ki umra kaid ki saza ho.....jail me aakhir unhe daal roti khilakar kutte palne ke jaisa bana diya jata hai....main to kehti hoon ki saza dena hi hai to hum jantaaon ke upar kaanun ko chod diya jaye or un darindaron ko bhi humare hawale kar diya jaye....

un darindaron ne humaare nariyon ke upar jo atyachaar kiya hai ya balatkar ya chedhkhani kiya hai kyu na un darindaron ko peet peet kar ehesaas dilaya jaye unke galtiyon ki....or dobara na kar sake isliye un darindaron ka us jism ko kuchal kar or kaat kar namak bhar diya jaye....aajeevan jeevit rehkar wo apne kiye ki saza bhugat'te rahenge or agla pidhi bhi iss tarah galat kadam utha na sakega....katrata rahega or galat kadam uthaane se pehle wo sau baar sochega...

~ ~ sadah bahar ~ ~

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...