Zindagi Ke Faislon Main Tarazu Se Toli Gayi Hoon
Na Kabhi Wafa Karungi Maine Faisla Kiya Hai
Bas Faraz Adaa Karungi Maine Faisla Kiya Hai
Kehna Nahi Tha Jo Kuch Mai Wo Bhi Keh Gayi Hoon
Ab Is Ke Baad Yaaro Dil Se Dimag Tak Main
Akele Hi Chala Karungi
Maine Faisla Kiya Hai Na Kabhi Wafa Karungi
Koi Yahan Na Aye Rishton Ka Jaal Le Kar
Khuda Ko Jawab Doon Main Kis Ka Sawal Le Kar
Koi Nahi Sunaye Ab Mere Dastan-e-Gum Ko
Ab Se Mai Khud Se Suna Karungi
Maine Faisla Kiya Hai Na Kabhi Wafa Karungi
Dhundhale Se Pad Gay Hain Sadah Bahar Ehsaas Ke Jharoke
Main Aandhi Ke Taraf Chali Hoon Duniya Na Mujhko Rokhe
Jab Bhi Kisi Ne pucha Kya Sabab Hai Berukhi Ka
Me Yehi Kaha Karungi
Maine Faisla Kiya Hai Na Kabhi Wafa Karungi
Insaaf Ka Tarazoo Hai Waqt Ki Adaalat
Hazaron Inteha Le Chuka Hai Usne
Ab Mere Inteha Ki Koi Nahi Zarurat
Mera Salook Lakin Kya Hoga Dushmanon Se
Main Hi Faisla Karungi
Tarazoo Se Khud ba Khud Aapne Aap Ko Tol Lungi
Maine Faisla Kiya Hai Na Duriya Badhaya Hai
Bas faraz Adaa Karungi
Maine Faisla Kiya Hai Na Kabhi Wafa Karungi
Zindagi Ke Faisle Ko Me Khud ba Khud
Tarazoo Se Tol Lungi
Sadah Bahar
No comments:
Post a Comment