1) film producer writer se koi aisa kahani likhne ko kehta hai jisme jyada se jyada ang ka pradarshan ho....darshak usko dekhkar us film ko or badhava dete hai....
2) kuch writer paison ke khaatir galat ang pradharshani kahaani likhta hai....
3) film me kaam karne waali heroine bhi director or producer ka kehna hi sunti hai or wo jo kehte hai wahi karti hai apne naam kamaane or paison ke khaatir....unka shakal chehera mohra to hota nahi hai....makeup karke apne aapko miss beauty banakar ramp par utarti hai....
4) public aise chizon ko or badhava dete hai....or aise gande behuda cartoon or ang pradarshan ko dekhkar khush ho jate hai...chahe kahaani rahe ya na rahe....auraton ka ang dekhne ke liye hi jate hai...or khud dekhkar dusron ko bhi utsaahit karte hai....
5) bhagwaan to duniyaan banaye do prakar ke insaan banaye nar or purush....unme bhi do kism ke bhd bhaav banaaye....bhala or bura,usme ahankaar paida karne ke liye insaanon ke chehre mohre or rang kaale or gore ke saath bhed bhaav kar diya....sabhi insaan ko ek hi rang roop me bhejte to aaj ye din dekhna nahi padhta...
6) jiske pas jarurat se jyad paisa hai uske andar ahankaar bhara hua hai or jo sundar hai or rang gora hai uske pass bhi or adhik ahankaar hai...us sundarta ke saath saath paise bhi ho to wo or bhi jyada ahankaari ho jata hai....
7) saadhaaran janta ya samaj jinke pass kuch bhi nahi hota wo hi aaj aise koi bhi gande ghinone harkat karne me majboor hote hai....usko sundarta bhi chahiye....paise bhi chahiye....ashon aaraam bhi chahiye....
8) samaaj ko sudhaarne ke pehle to hume apne aapko badalna hoga....or aise bure chizon ko rokhna hoga....hume kisi bhi laalach me nahi aana chahiye....
9) pehle to t.v. aaya or logon ko barbaad kiya....t.v. ke saath gande gande advertise aakar logon ka dimaag kharab kiya....kisi chote bachhon ke saath aaj baithkar koi film dekh nahi sakte adversitement ne to sab kuch sharamsaar kar diya....
10) fir computer to t.v. se bhi dugna aage hai or fir mobile aakar pura to gandegi ka jaal bicha diya....fir internet ke saathto log videos bhi banane lag gaye hai or mobile se mms banakar aapas me baat'te hai....
11) agar aisa hi raha to samaaj kabhi nahi badlega....or in saare baaton ka sahi dhang se dhyaan diya jayega tabhi samaaj badlega....ya fir kabhi nahi....
12) maa ke kokh se hi bachhiyaan mehefooz nahi hai...fir bade hone ke baad kaise mehefooz rahenge....unko to badhne bhi nahi diya jaata hai....wo samaaj ke gande darindar to ek mahine ki bachhi ko bhi nahi chodhte....ye kahani sirf bhaarat ka nahi pure sansaar ki yahi kahaani hai....
13).doosron ka bhala or doosron ko madad karne me hi humaari bhalaai hai....aap sabhi apni soch badaliye....soch bhala to kar bhala....jago duniya jago....sab apne hai,khoon bhi ek hai,jaisa karenge waisa bharenge....khud chahe kaise bhi raho magar doosron ko dakleef kabhi na do....jai shri krishna..
~ ~ sadah bahar ~ ~
No comments:
Post a Comment