Me Shayeri Q Likhti Hoon Ye Mujhe Nahi Pata,Magar Shayeri K Maadyam Se Me Aap Sabhi Ko Kuch Mehsus Kerana Chahti Hoon,Jaise Prem - Pira - Pehchaan Or Parichay,Jab Tanhai Me Apne Under Ki Aatmaa Ko Mehsus Karti Hoon,Tab Anubhurtiyaan Ek Dard Sa Man Hi Man Me Sisakta Rehta Hai,Jise Maine Apne Dill Se Anubhurti Kar Shayeri K Maadhyam Se Kavita K Zariye Logon Tak Pahunchaane Ki Koshish Ki Hai,Shayeri Likhna Koi Mazaak Nahi,Dill Se Shayeri Likhte Waqt Aansu Aa Jaate Hai...
~ ~ Sadah Bahar ~ ~
free counters

Vote This Page

Sunday 19 February 2012

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Khwaab ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Ek Nanha Sa Khwaab,
Pal Raha Hai Aankhon Me,
Kuch Pyaare Se Sapne,
Jagaaye Hai Man Me,
Aashaaon Ki Bhi Lo,
Timtima Rahi Hai,
Tum Aake Rahoge,
Meri Zindagi Me,
Pura Karoge,
Uss Kami Ko,
Jo Meri Ashkon,
Me Dhali Hai,
Tumhaari Pyaari Si,
Muskuraahat Se,
Me Darti Hoon Kahi,
Tumhaare Dikhaaye Sapne,
Meri Zindagi Me,
Adhuri Na Rehe Jaaye,
Jaldi Aao Varna Ye Sapne,
Sapne Hi Na Rehe Jaaye.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...