Me Shayeri Q Likhti Hoon Ye Mujhe Nahi Pata,Magar Shayeri K Maadyam Se Me Aap Sabhi Ko Kuch Mehsus Kerana Chahti Hoon,Jaise Prem - Pira - Pehchaan Or Parichay,Jab Tanhai Me Apne Under Ki Aatmaa Ko Mehsus Karti Hoon,Tab Anubhurtiyaan Ek Dard Sa Man Hi Man Me Sisakta Rehta Hai,Jise Maine Apne Dill Se Anubhurti Kar Shayeri K Maadhyam Se Kavita K Zariye Logon Tak Pahunchaane Ki Koshish Ki Hai,Shayeri Likhna Koi Mazaak Nahi,Dill Se Shayeri Likhte Waqt Aansu Aa Jaate Hai...
~ ~ Sadah Bahar ~ ~
free counters

Vote This Page

Saturday, 18 February 2012

~ Tumhara Naam Likh Likhkar ~

Tumhara Naam Likh Likhkar,
Mitaana Bhul Jaati Hoon,
Tumhe Jab Yaad Karti Hoon,
Bhulaana Bhul Jaati Hoon,
Bahut Si Aisi Baatein Hai Jo,
Mere Dill Me Rehete Hai,
Magar Jab Tumse Milti Hoon,
Sunaana Bhul Jaati Hoon,
Tumhaare Baad Ab Har Pal,
Bhaari Mushkil Se Kat'ta Hai,
Tumko Yaad Karti Hoon,
Me Aksar Tumko Khwaabon Me,
Bataana Bhul Jaati Hoon,
Tumko Bhul Jaaungi,
Magar Jab Subah Hoti Hai,
Iraada Hi Bhul Jaati Hoon.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~ 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...