Me Shayeri Q Likhti Hoon Ye Mujhe Nahi Pata,Magar Shayeri K Maadyam Se Me Aap Sabhi Ko Kuch Mehsus Kerana Chahti Hoon,Jaise Prem - Pira - Pehchaan Or Parichay,Jab Tanhai Me Apne Under Ki Aatmaa Ko Mehsus Karti Hoon,Tab Anubhurtiyaan Ek Dard Sa Man Hi Man Me Sisakta Rehta Hai,Jise Maine Apne Dill Se Anubhurti Kar Shayeri K Maadhyam Se Kavita K Zariye Logon Tak Pahunchaane Ki Koshish Ki Hai,Shayeri Likhna Koi Mazaak Nahi,Dill Se Shayeri Likhte Waqt Aansu Aa Jaate Hai...
~ ~ Sadah Bahar ~ ~
free counters

Vote This Page

Thursday, 2 February 2012

~ ~ ~ ~ ~ ~ Maan Jaana ~ ~ ~ ~ ~ ~

Me Apni Raaton Ki Fursaton Me,
Tujhe Manaaun To Maan Jaana,
Agar Kise Din Me Apne Aansuon Ko,
Jo Leke Aaun To Maan Jaana,
Ye Ek Dill Hi Tumhe Diya Tha,
Jo Isko Tumne Hi Tod Daala,
Sukurte Dill Ki Jo Kichron,
Ko Samet Laaun To Maan Jaana,
Tu Khush Nahi Hai Meri Baka Par,
To Sirf Itna Bata Dena,
Teri Khushi Ke Liye Jo Suli Pe,
Me Chad Jaaun To Maan Jaana.
~ ~ sadah Bahar ~ ~

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...