Me Shayeri Q Likhti Hoon Ye Mujhe Nahi Pata,Magar Shayeri K Maadyam Se Me Aap Sabhi Ko Kuch Mehsus Kerana Chahti Hoon,Jaise Prem - Pira - Pehchaan Or Parichay,Jab Tanhai Me Apne Under Ki Aatmaa Ko Mehsus Karti Hoon,Tab Anubhurtiyaan Ek Dard Sa Man Hi Man Me Sisakta Rehta Hai,Jise Maine Apne Dill Se Anubhurti Kar Shayeri K Maadhyam Se Kavita K Zariye Logon Tak Pahunchaane Ki Koshish Ki Hai,Shayeri Likhna Koi Mazaak Nahi,Dill Se Shayeri Likhte Waqt Aansu Aa Jaate Hai...
~ ~ Sadah Bahar ~ ~
free counters

Vote This Page

Thursday, 2 February 2012

~ ~ ~ ~ ~ ~ Teri Chahat Me ~ ~ ~ ~ ~ ~

Teri Chahat Me,
Hum Zamaana Bhul Gaye,
Tere Baad Kisi Ko,
Apnaana Bhul Gaye,
Phir Laga,
Saara Jahaan Viraana Humko,
Jaise Chaman Me,
Phool Mehekna Bhul Gaye,
Tum Se Mohobbat Hi,
Bataaya Saare Jahaan Ko,
Yahi Baat Tumko,
Bataana Bhul Gaye,
Hum Ne Mita Diya,
Jahaa Bhi Likha Tha Naam Tera,
Magar Apne Dill Se,
Mitaana Bhul Gaye,
Wo Juda Huye,
Hum Se Muskuraate Huye,
Magar Apni Palkon Se,
Aansu Hataana Bhul Gaye.

~ ~ Sadah Bahar ~ ~

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...