Me Shayeri Q Likhti Hoon Ye Mujhe Nahi Pata,Magar Shayeri K Maadyam Se Me Aap Sabhi Ko Kuch Mehsus Kerana Chahti Hoon,Jaise Prem - Pira - Pehchaan Or Parichay,Jab Tanhai Me Apne Under Ki Aatmaa Ko Mehsus Karti Hoon,Tab Anubhurtiyaan Ek Dard Sa Man Hi Man Me Sisakta Rehta Hai,Jise Maine Apne Dill Se Anubhurti Kar Shayeri K Maadhyam Se Kavita K Zariye Logon Tak Pahunchaane Ki Koshish Ki Hai,Shayeri Likhna Koi Mazaak Nahi,Dill Se Shayeri Likhte Waqt Aansu Aa Jaate Hai...
~ ~ Sadah Bahar ~ ~
free counters

Vote This Page

Thursday, 21 June 2012

Z​indagi Ka Waqt / ज़ि​न्दगी का वक़्त


 Ae Zindagi , 
Tumhen bhool jaun ,
ye mujhse hota nahi ,
 Waqt pass hone se bhi , mera dard kam hota nahi ,
 Waqt ke saath milkar , 
tumhaare pyaar ko ,
badnam karna nahi ,
 Main ro ro kar , 
daman bhigaati nahi ,
 Tumhaare dard or gum me , 
me kabhi soti nahi ,
 Waqt nikal jaata hai , 
par tumhaare yaad me ,
bhukh lagti nahi ,
 Door Rehkar Bhi humne , 
Dooriyaan Banaai Nahi ,
 Ye wo fasal hai , 
jo uge khud - ba - khud , 
kisi ne ugaaya nahi ,
 Tumne waqt ke saath milkar , dooriyaan or faasla ,
bana rakha hai , 
par humne nahi ,
 Teri yaadon ko ,
waqt ke saath milkar ,
beeta dete hai hum ,
par tumhe dekha nahi ,
 Koi jaanbujhkar ,
pyaar karne wala hi , 
dard ka beej bouta hai , 
par hum nahi ,
 Ye mana hai ki , 
tufan / waqt ka zor hai , 
par tumhe meri parvaah nahi ,
 Main ghabara ke ,
kashti dubaati nahi.

...........................................................

 ऐ ज़िन्दगी , 
तुम्हें भूल जाऊं ,
ये मुझसे होता नहीं ,
 वक़्त पास होने से भी , 
मेरा दर्द कम होता नहीं ,
 वक़्त के साथ मिलकर , 
तुम्हारे प्यार को ,
बदनाम करना नहीं ,
 मैं रो रो कर , 
दामन भिगाती नहीं ,
 तुम्हारे दर्द और गम में , 
मैं कभी सोती नहीं ,
 वक़्त निकल जाता है , 
पर तुम्हारे याद में ,
भूख लगती नहीं ,
 दूर रहकर भी हमने , 
दूरियां बनाई नहीं ,
 ये वो फसल है , 
जो उगे खुद - बा - खुद , 
किसी ने उगाया नहीं ,
 तुमने वक़्त के साथ मिलकर ,
 दूरियां और फासला बना रखा है , 
पर हमने नहीं ,
 तेरी यादों को ,
वक़्त के साथ मिलकर , 
बीता देते है हम , 
पर तुम्हे देखा नहीं ,
 कोई जानबूझकर ,
प्यार करने वाला ही , 
दर्द का बीज बौता है , 
पर हम नहीं ,
 ये माना है की , 
तूफ़ान / वक़्त का जोर है , 
पर तुम्हे मेरी परवाह नहीं ,
 मैं घबरा के कश्ती दुबाती नहीं ।

~ ~ सदा बहार ~ ~

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...